Sunday, March 7, 2010

ek hockey doonga rakh ke

These are some of the poems written
@ the spot on jwalant topics of the day
the may be dated
some in Hindi
some in English
but all in good humour
all satires
:))))
MTV Enjoy

Ek hockey doonga rakh ke
mattoo ki atma katha
why India lost out in the world cup hockey
1
Oye Nikhattoo
nigode mattu
too aadmi hai
ya bajar battoo
(bajar battoo is earthen pot hung in front of house to drive away evil spirits)
kya samajhta hai ye hain anadi
doodh badam se banta hai khiladi
25000 mein sirf pee sakta hai woh sattoo
(sattoo a bihari energy drink)
2
Oye Antonio (FIH Chairman)
yeh Hockey India hai soniyo
yaha pongal mein dalia
sankranti pe til ke laddoo
lohdi me meethey hotey
rewdi bhare thele (hand cart)
(IN JANUARY)
tyoharo pe jakar
kyon tune khilaye karele
3
abey oye gill
too kia bol riya hai
tune kaun sa unko
sone ka tamga diya hai
toone khiladiyon se
raoi ke khansaame ka kaam liya hai

4

abey salon chup karo
ishwar allah yeshu waahe guru se daro
kya 187 laakh poore kar jaoge hajam
jiska sahara tha
uski haram ki dakar se
footenge tumre karam
kya in paiseon se chal rahe ho haram
5

desh ko ek ek pai ka hisab chahiye
tumhari wada khilafi ka jawab chahiye
tumhari in dhamkiyon pe sadke
ik haakey doonga rakkh ke

6

chal katle
patli gali se daud
paiso ka ghamand na dikha
ham apna vishwa cup kar lenge
gar is desh ka har nagrik dega sirf ek rupiya
kar lenge HPL
KYONKI RUPIYE HONGE 130 KAROD


No comments:

Post a Comment